jeevan लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
jeevan लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

शनिवार, 2 अक्टूबर 2010

"JEEVAN KI RAAH"

Jeevan ki raah me...
Kuchh aise bhi log milte hain,
Mann ke kisi kone me jakar bas hi jate hain.

Jeevan ki raah me...
Kuchh aise bhi pal aate hain,
Os ki boondon jaisi sheetalta de jate hain.

Jeevan ki raah me...
Kuchh aise bhi rishte bante hain,
Reshami banhan me majbooti se kas lete hain.

Jeevan ki raah me...
Kuchh rang is tarah se bikharte hain,
Indradhanush bankar aakash me chha jate hain,

To kabhi mann me basi yaad,
To kabhi os ki sheetal boond,
To kabhi reshami komal bandhan,
To kabhi saptarangi indradhanush ...
Jaisi hai ye jeevan ki raah...........

शुक्रवार, 10 सितंबर 2010

"FIR DEKHO"

Bhare huye pet par hath ferkar chain se sone wale,
Jinki thali main kuchh bhi nahi,
Unhe roti ka ek tukda to do PHIR DEKHO...
Tumhare liye to hogi roz diwali,
Andheron main rahane walo ke jeevan main,
Roshani ka ek diya to jalao PHIR DEKHO...
Honge tumhare mahal dumahle,
Par kisi ko apane haq ki,
Ek jhopadi to milne do PHIR DEKHO...
Hoti hongi tumhare aangan main rangon ki barsaten,
Par kisi ke jeevan main naya rang to bharo PHIR DEKHO...
Tumhare liye to khuli hongi unnati ki kai rahen,
Par kisi ko ummeed ki ek kiran to dikaao PHIR DEKHO...
Sirf apane liye na jiyo,
Zarooratmandon ka sahara bano PHIR DEKHO... :)

बुधवार, 18 अगस्त 2010

JEEVAN

JEEVAN YE AISA HI HAI,

SUKH DUKH KO BHOOLKAR,

JEENA HOTA HAI,

JEEVAN KO JEETE-JEETE HI,

KUCCH KHONA HOTA HAI,

KUCCH PANA HOTA HAI,

MANN MAIN BASI YAADON KO SANJONA HOTA HAI,

AUR WAQT PADE TO USE BHOOLANA HOTA HAI,

"JEEVAN YE AISA HI HAI,

KYA HUAA GAR KHOYA HAI TO,

BAHUT KUCCH TO PAYA BHI HAI,

JEEVAN YE AISA HI HAI,

JEEVAN YE AISA HI HAI....."