boond लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
boond लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

शुक्रवार, 12 नवंबर 2010

"ASTITVA"

"NANHI SI BOOND OS KI,
CHINTIT HAI APNE ASTITVA KE LIYE"
KAHIN AISA NA HO.....
KHO JAOON IS DHOOL ME,
YA FIR...........
GUM HO JAOON SAGAR KI GAHRAIYON ME KAHIN,
YA FIR.....
UD JAOON DHUYE KI TARAH,
IS DHARTI KI TAPAN SE,

DARTI RAHI, LADTI RAHI,
KHUD APNE HI ASTITVA KE LIYE,

AUR FIR......
DE GAI US CHATAK KE JEEVAN KO EK NAYA ASTITVA,
USKI PYAS ME SAMAKAR,
JO CHINTIT THI APNE HI ASTITVA KE LIYE.

शनिवार, 2 अक्टूबर 2010

"JEEVAN KI RAAH"

Jeevan ki raah me...
Kuchh aise bhi log milte hain,
Mann ke kisi kone me jakar bas hi jate hain.

Jeevan ki raah me...
Kuchh aise bhi pal aate hain,
Os ki boondon jaisi sheetalta de jate hain.

Jeevan ki raah me...
Kuchh aise bhi rishte bante hain,
Reshami banhan me majbooti se kas lete hain.

Jeevan ki raah me...
Kuchh rang is tarah se bikharte hain,
Indradhanush bankar aakash me chha jate hain,

To kabhi mann me basi yaad,
To kabhi os ki sheetal boond,
To kabhi reshami komal bandhan,
To kabhi saptarangi indradhanush ...
Jaisi hai ye jeevan ki raah...........