manhgai लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
manhgai लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

सोमवार, 13 दिसंबर 2010

"NAYA SAAL MUBARAK HO"

Sisakte kissan ko,
Ujadte jahan ko,
Do joon roti ko,
Taraste insaan ko,
Dhuyen ke jaal me,
Fanse huye yauvan ko,
Manhgai ke maare huye,
Har ek jeevan ko...............
NAYA SAAL MUBARAK HO...........
........................................... x......................................

Dukh bhare ateet ko,
Vartmaan ke prayaas ko,
Khushiyaon ke bhavishya ko,
Nanhe se bachpan ko,
Sundar se yauvan ko,
Komal se sparsh ko,
Pavon ki payal ko,
Mamta ke aanchal ko,
Harek ghar ke aangan ko,
Mandir ke chandan ko,
Shadi ke bandhan ko,
Pavitrta ke darpan ko,
Vyaktitva ke aakarshan ko.............
NAYA SAAL MUBARAK HO........................

रविवार, 3 अक्टूबर 2010

"FAISLA"

Vo kahte hain ki..
Bharat ki janta faisle se oopar uthkar sochne lagi hai,
Kbhi socha hai kyun uski soch badal gai hai,
Are bhai kyun nahi badlegi soch,
Is manhgai me rozi roti ki chinta se hi kamar toot jati hai,
To kya khaq sochegi faisle ke bare mein,
Aur haan ab apna bhla bura samajhne lagi hai,
Achchhi tarah jan gai hai Ki...
"Rajneeti seedha kar leti hai apna oollu,
Aur pees deti hai use ghun ki tarah."