शुक्रवार, 1 अक्टूबर 2010

KYA YAHI HAI AAZAADI??

Aazaadi-Aazaadi........
Manate aa rahe ho 63 saalon se jashn,
Par mai poochti hun?
Azaadi-Aazaadi kaisi azaadi....

Kahne ko to bharat mata mukt hui,
Gulami ki un janzeeron se,
Mathe ki chmakati hui bindia,
Aur hoton par faili muskurahat..
Sirf oopar se hi dikhati hai.

Aatankvad, jativad, naksalvad, dahashatvad,
Sampradayvad se ghirti ja rahi hai ye,
Anyay, bhrashtachar, atyachar,
Ke bojh tale dab gai hai aazaadi...

Par jashna mana kar karte ho fakra??
Ab vah angrejo ki gulaam nahi rahi,
Khud apno ki banai janzeeron se jaddi ja rahi hai,
Hamari kunthit mansikta, besharmi,
Besharmi, bevafai aur behayai ke,
Changul me tadapti is Aazaadi ko,

"Kaun fir aazaad karayega?
To fir kaisi hai ye aazaadi? kyun hai ye aazaadi?? kiske liye aazaadi???"

सोमवार, 20 सितंबर 2010

SAPNO KI UDAAN

PANKHON ME TAQAT NAHI,
PAHALE HI MAAN LIYA THA MAINE,

UDAAN BHARNE SE PAHLE HI,
PANKH KHO BAITHI THI MAIN,

TOOTE HUYE PANKHO KO SAHEJTI MAIN,
FIR SE PANKH NIKLENGE, RAAH DEKHTI MAIN,

AB SAMAJH SAKI HUN MAIN KI,
MOUKA TO JEEVAN MAIN EK BAAR HI MILTA HAI,
SWAPNA PURTI KA NISHCHAY US WAQT HI KARNA HOTA HAI...........

शुक्रवार, 10 सितंबर 2010

"FIR DEKHO"

Bhare huye pet par hath ferkar chain se sone wale,
Jinki thali main kuchh bhi nahi,
Unhe roti ka ek tukda to do PHIR DEKHO...
Tumhare liye to hogi roz diwali,
Andheron main rahane walo ke jeevan main,
Roshani ka ek diya to jalao PHIR DEKHO...
Honge tumhare mahal dumahle,
Par kisi ko apane haq ki,
Ek jhopadi to milne do PHIR DEKHO...
Hoti hongi tumhare aangan main rangon ki barsaten,
Par kisi ke jeevan main naya rang to bharo PHIR DEKHO...
Tumhare liye to khuli hongi unnati ki kai rahen,
Par kisi ko ummeed ki ek kiran to dikaao PHIR DEKHO...
Sirf apane liye na jiyo,
Zarooratmandon ka sahara bano PHIR DEKHO... :)

रविवार, 5 सितंबर 2010

"MUJHKO TU CHAHIYE"

"CHAND TAARE NA YE CHANDANEE CHAHIYE,
TERE JAISA NAHI MUJHKO TU CHAHIYE.

VO MILEGA MUJHE YE YAKIN HAI MAGAR,
AAKHIRI SAANS TAK JUSTAZU CHAHIYE.

KHWAB TO KHWAB HAI, YE HAKIQAT NAHI,
KHWAB MAIN TU NAHI ROOBAROO CHAHIYE.

YU TARASHUN TUMHE OOMRA BHAR PATTHARON,
TERE JAISA KOI HOOBAHOO CHAHIYE.

RANGE GUL SE SAJA HAI YE GULSHAN MAGAR,
MUJHKO RANGAT TERI HAR GALI CHAHIYE...."