RAAH लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
RAAH लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

शुक्रवार, 21 जनवरी 2011

"POORA SWAPNA TERA HO"

"पूरा स्वप्न तेरा हो"
मेरी गोद से उतरकर अब तू ,
इस धरती पर चलना सीख.
कठिन सही ये राह मगर तू,
गिरकर भी संभलना सीख.
चाँद सितारों की चाहत में,
रूठना और मचलना सीख.
सागर सी शांति धरकर भी,
गर्भ में मोती पालना सीख.
चन्द्र सी दे शीतलता पर,
सूर्य की भांति जलना सीख.
"तपकर इस जीवन पथ पर,
सोना तू खरा हो,
आशीर्वाद है मेरा तुझको,
तू अपने पांव खड़ा हो,
पूरा स्वपन तेरा हो... 
पूरा स्वपन तेरा हो...  


  

शनिवार, 2 अक्टूबर 2010

"JEEVAN KI RAAH"

Jeevan ki raah me...
Kuchh aise bhi log milte hain,
Mann ke kisi kone me jakar bas hi jate hain.

Jeevan ki raah me...
Kuchh aise bhi pal aate hain,
Os ki boondon jaisi sheetalta de jate hain.

Jeevan ki raah me...
Kuchh aise bhi rishte bante hain,
Reshami banhan me majbooti se kas lete hain.

Jeevan ki raah me...
Kuchh rang is tarah se bikharte hain,
Indradhanush bankar aakash me chha jate hain,

To kabhi mann me basi yaad,
To kabhi os ki sheetal boond,
To kabhi reshami komal bandhan,
To kabhi saptarangi indradhanush ...
Jaisi hai ye jeevan ki raah...........

सोमवार, 20 सितंबर 2010

SAPNO KI UDAAN

PANKHON ME TAQAT NAHI,
PAHALE HI MAAN LIYA THA MAINE,

UDAAN BHARNE SE PAHLE HI,
PANKH KHO BAITHI THI MAIN,

TOOTE HUYE PANKHO KO SAHEJTI MAIN,
FIR SE PANKH NIKLENGE, RAAH DEKHTI MAIN,

AB SAMAJH SAKI HUN MAIN KI,
MOUKA TO JEEVAN MAIN EK BAAR HI MILTA HAI,
SWAPNA PURTI KA NISHCHAY US WAQT HI KARNA HOTA HAI...........